Chai ubelney hi wali thi. Hina aaj
subah phir ghar ke kaam main
lag gayi. Aaj phir use college ke
liye late nahi hona tha. Kal uska
professor ne use daat chuka tha.
Mommy ke guzar janey ke baad 6
mahiney ho chukey the par phir
bhi who apna daily routine
sambhal nahi payi thi.
Papa chai ke liye wait kar rahe
the. Chai papa ko dekar, Anni aur
huma ke liye lunch bhi tayar
karna tha use. Who jaanthi thi
agar woh lunch nahi banayi, toh
dono choti beheney bhukey
rahengey aur TV ke saamney
aakh sekhtey bethaingey.
Chai cup mien daal kar who
drawing room main gayi.
Papa (wasim) subah ka
paper lekar bethey the aur goverment ko bura-bhala keh rahe
they.
Hina: Papa, ye lo chai.
Papa: Arey, bana diya. Kyu takleef
ki. Main bana deta. Tu apne
college janey pe zor de aur
padhai thik se kar.
Hina( daathey huye): Papa, ab
aap har subah ki tarah phir
shuru mat ho jaeeye. Chup chap
chai pe jiye aur office jayiye.
Papa: (thoda muskurakar) thik
hai meri ma. La de. Beth, thoda
chai mere mein se pee le.
Hina: Nahi, mujhe lunch bhi
banana hai woh do maharaniyon
ke liye.
Papa: Arey woh main bana
doonga. Tu fhikar mat kar.
Mujhe aaj office late jana hai.
Hina: Nahi. Kitchen kaa kaam
mera hai. Aap usme dakhal na de.
Papa: Arey teri mommy jab thi,
tab bhi main kabhi kabhi lunch
bana leta tha. To ab kyu nahi.
Mommy ka zikr sunkar hina
chup ho gayi aur sar jhuka beth
gayi. Wasim bhi chup ho
gaya aur uske aankh bhar aya.
Hina ye dekh kar bahut udaas
hogayi. Woh uthkar kitchen main
chali gayi.
subah phir ghar ke kaam main
lag gayi. Aaj phir use college ke
liye late nahi hona tha. Kal uska
professor ne use daat chuka tha.
Mommy ke guzar janey ke baad 6
mahiney ho chukey the par phir
bhi who apna daily routine
sambhal nahi payi thi.
Papa chai ke liye wait kar rahe
the. Chai papa ko dekar, Anni aur
huma ke liye lunch bhi tayar
karna tha use. Who jaanthi thi
agar woh lunch nahi banayi, toh
dono choti beheney bhukey
rahengey aur TV ke saamney
aakh sekhtey bethaingey.
Chai cup mien daal kar who
drawing room main gayi.
Papa (wasim) subah ka
paper lekar bethey the aur goverment ko bura-bhala keh rahe
they.
Hina: Papa, ye lo chai.
Papa: Arey, bana diya. Kyu takleef
ki. Main bana deta. Tu apne
college janey pe zor de aur
padhai thik se kar.
Hina( daathey huye): Papa, ab
aap har subah ki tarah phir
shuru mat ho jaeeye. Chup chap
chai pe jiye aur office jayiye.
Papa: (thoda muskurakar) thik
hai meri ma. La de. Beth, thoda
chai mere mein se pee le.
Hina: Nahi, mujhe lunch bhi
banana hai woh do maharaniyon
ke liye.
Papa: Arey woh main bana
doonga. Tu fhikar mat kar.
Mujhe aaj office late jana hai.
Hina: Nahi. Kitchen kaa kaam
mera hai. Aap usme dakhal na de.
Papa: Arey teri mommy jab thi,
tab bhi main kabhi kabhi lunch
bana leta tha. To ab kyu nahi.
Mommy ka zikr sunkar hina
chup ho gayi aur sar jhuka beth
gayi. Wasim bhi chup ho
gaya aur uske aankh bhar aya.
Hina ye dekh kar bahut udaas
hogayi. Woh uthkar kitchen main
chali gayi.
0 comments:
Post a Comment